Android Kya Hai ??
Android Ek Popular, Famous Or Best Lenux Based Mobail Operating System Hain, Apne Dekha Hoga Leptop Kisi Bhi Company Ka Ho Par Us Main Windows System Hoti Hain, Windows Ke Jaisi Or Bhi Software Hain Par Har Laptop Company Windows Hi Daalti Hain Kyu Ki Yahi Famous Hain, Logo Ko Pasand Hain Ya Uska Mukabla Kar Sake Aisa Koi Other Software Nai Hain !! Bas Thik Aise He Mobail Chahe Kisi Bhi Company Ka Ho Par Use Main Android System Hoti Hain, Mobail Main Bhi Windows System Aata Hain Par Log Use Itna Pasand Nahi Karte Jitna Android System Ko Karte Hain.
Aap Sabhi Android User Hain Toah Aapko Pata He Hoga Ki Android Main Hum Kya Kya Kar Sakte, Hamare Liye Yeah Kitna Usefull Hain, Android Computer Se Kam Nahi Hain!! I Think Android Main Hum Har Ek wo Kam Kar Sakte Hain Jo Hum Ek Computer Main Karte Hain, Sirf Keyboard Se Hone wale Kuch Kaam Nahi Kar Sakte
Android Ka Yeah Green Logo Aap Sab ne Dekha Hi Hoga Or Ise Hum Android Ke Neme Se Jante Hain. Android Ko Google Id (Gmail) Se Chalaya Jata Hain, Har Ek Android Main Google search, Play Store, Gmail, YouTube, Google Drive etc Already Hote Hain Jo Ek Google Id Se Easily Chalaye Jate Hain, Android Touch-Screen Ke Liye Devlop Kiya Gaya Tha. Android System Daalne Ke Baad Mobail Mini Computer Ke Tarrah Work Karega Jise Hum Smartphone Kahte Hain !!
Android Google Ne 2007 Main Release Kiya Tha, Android Ki Famous Hone Ki Ek wajah Yeah Bhi Hain Ki Yeah World Ki No 1 Company Google Ka Ek System Hain Or Google Ne Ise Best Banane Main Koi Kasar Nahi Chodi, Google Ne Play Store, YouTube, Gmail, Google search, Google Drive Jesi Bahut Se Suvidhaye Dali Jisne Logo Ka Dil Jeet Liya !!
Google Ne Play Store Diya Jis Main Hum Lakho, Carodo Music, Chat, News, Game, Funny, Entertainment, Earning, Learning, Editing, Hacking, Knowledge, etc Bahot Sari Application Free Main Install Kar Sakte, Or YouTube or Android Ki Other Suvidhao Se Android User Ko Entertainment Ki Kami Nahi Rahti Is Liye Android itna Famous Hain, Android Itna Popular Hain Ke 1 Din Main Uske 15 Lakh Activation Hote Hain !!
Hum ‘Android Mobail’ Aisa Kahte Hain Par Real Main Android Ek Mobail Main Kaam Karne wala System Hain, Mobail Alag Alag Company Ke Hote Hain Or Har Mobail Ko Use Banane Wali Company Ke Neme Se Jana Jata Hain. Ex. IPhone, Nokia, Samsung, Vivo, Oppo, Lenova, Mi, Panasonic, Lava, Carbon, BlackBerry, Etc. Par Android Itna Famous Hain Ki Hum Android Ko ” Android Mobile” Ya Mobail Ko Android Kahte Hain !!! Matlb Android System Koi He Mobail Ka Neme De Diya Hain Jo Har Mobail ( Jis Main Android System Hain) Ke Liye Coman Hain.
Android Version Kya Hain ???
Kitkat, Lolipop Yeah Neme Toh Har Ek Android User Ne Suna Hoga Bas Yahi Android Version Hain, Version Jitna Best Hoga Utna He Mobail Fast Kaam Karga, Features Jyada Honge, Google Her Saal Naya Android Version Release Karta Hain, Google Me ab Tak 10 Android Version Release Kiye Hain Us Main Se Avi Latest Lollipop ke Baad Marshmallow Chal Raha Hain. Android Ke Har Version Ka Neme ABCD ke Alphabet Ke Anusar Chal Raha Hain, First Virson Alphabet ‘C’ Se Start Hua Tha Jiska Neme ‘CupCake’ Tha. Aap Android Ke Ab Tak Ke Sabhi Version Ka List Dekh Sakte Hain.
Android Version List
1. Cupcake (1.5)
2. Donut (1.6)
3. Eclairs (2.0-2.1)
4. Froyo (2.2-2.2.3)
5. Gingerbread (2.3-2.3.7)
6. Honeycomb (3.0-3.2.6)
7. Ice Cream Sandwich (4.0 – 4.0.4)
8. Jelly bean (4.1 – 4.3.1)
9. Kitkat (4.4 -4.4.4 – 4.4w – 4.4w.2)
10. Lollipop (5.0 – 5.1.1)
11. Marshmallow
Android Se Judi Kuch Interesting Baate !!
- October 2003 Main Andy Rubin, Rich Miner, Nick Sears Or Chirs white Ne Android Information Ki Sthapana Ki Thi.
- Android Ka Famous Green Logo Famous Graphics Designer Irina Blok Ne 2007 Main Banaya Tha !!
- Android Ko Susses Banane Main Samsung, HTC, Motorola, Sony Jaise Company Ka Yaogdaan Raha Hain !!
- Android Ke Ek Din Main Avreg 15 Lakh Activation Hote Hain !!
- Android Operating system Java Programming language Se Banayi Gayi Hain !!
New Android Kharidte Samay Kya Dhyan Rakhe ??
New Android Wahi Kharide Jis Main Latest Version Lollipop Ho, Kyoki Yeah Latest Android Version Hain. Ya Fir Naya Version Marshmallow Version Wala Android Buy Kare. Baki Sari Baate Toh Sayad Aap Jante He Hoge Jaise Ki Apni Pasand Ka Mobail Kharide, Jyada RAM or ROM wala Mobail Chooss Kare Kyoki RAM Jyada Hogi Toh Mobail Hang Kam Hoga Or Jitni Jyda ROM Hoga Utna Jyada Aap Us Main Store Kar Sakte Hain ( Video, Music, Game, Photo, Application Etc.