2 Step Verification Sabhi Accounts Ko Secure Rakhne Ke Liye Or Hacking Se Bachne Ke Liye Lagaya Jata Hai. Yeah Baat Aap Jante Hoge. Hamare Pass Internet Pe Bahut Se Aise Account Hote Hai Jo Hack Ho Jaye to Bahut Bada Nuksan Ho Sakta Hai. Is Liye 2 Step Verification Ek Way He Jise Account Ko Secure Kiya Ja Sake. Ab Godaddy Account ko Safe Rakhna Kitna Jaruri Hota hai Yeah Aapko Batane Ki Jarurat Nahi Hai.! Godaddy Account Me Hamare Domains Hote Hai Agar Password Kisi ke Haath Lag Gaya to Hamare Sabhi Domain ko Transfer (Chori) kiya Ja Sakta Hai or Agar Domain He nahi Raha to website ka koi mtlb nahi Rahta ! So Yeah bada Loss Ho Sakta Hai.
How To Enable 2 Step Verification On Godaddy Account?
Godaddy Account Main Security Ko Strong Karne ke Liye 2 Step Verification Ka Option Diya Hain Jise Enable Karne Se Account Bahot Secure Ho Jayega. Or Godaddy Account Main 2 Step Verification Enable Karna Bahut He Easy Hai. To Chaliye Jante Hai 2 Step Verification Kaise Lagaye Godaddy Account Main? Or Godaddy Account ko Hack Hone Se Kaise Bachaye?
Step 1: Sabse Pehle Godaddy Account ko Log in Kare
Step 2: Ab Account Setting Pe Click Kare Ab Account Setting Ka Ek Sub Menu Opan Hoga Jisme Kuch Options Hoge Yaha Pe
Log in & PIN Option Pe Click Kare.
Step 3: Ab Ek New Page Open Hoga Us Me Sabse Last Me 2 Step Verification show Hoga Yaha Add Verification Pe Click Kare
Step 4: Now 2 Step Verification Enable Karneka Ka Process Start Hoga. Is Me Apne Hisab Se Option Select Kare I Suggest: NO Change & Continue.
Step 5: Abhi Mobail Number Add Karne Ka Option Aayega Yaha Pe Country Select Kare or Apna Number Dale Jispe Aap Log in Time Pe OTP Receive Karna Chahte Ho.
Step 6: Abhi jo Aapne Number Daala Us pe 6 Digits OTP Aayega Use verify Kare. Now you can Successfully Enable 2 Step Verification On Godaddy Account.
Ab Jab Bhi Aap Godaddy Account ko Log in Karege Tab Username & Password Daalne Ke Baad Aapke Number Pe OTP Aayega or Aap Jab Us OTP ko Verify Karege Tabhi Aapka Godaddy Account Log in Hoga. Bina OTP Account Log in Nahi Ho Payega.
Advantage of 2 Step Verification
2 Step Verification Enable Karne Se Account Secure Hota hai. OTP Ke Bina Account Open Nahi Hota So Agar Hamara Account Hack Ho Jaye to OTP ke Bina koi Account ko Open Nahi Kar Pata.
Agar Koi Victim Hamare Account ko Log in Karne Ke Liye Try Karega to OTP Hamare Number Pe Aa Jata Hai Ise Hume Pata Chal Jata Hai Ki Hamare Account ko Koi Log in Karne ki Koshish Kar Raha Hain So Hum Turant Action Le Paige. Ex: Password Change
2 Step Verification Account ko Secure Rakhine Ka Ek Easy Or Best way Hai.
Why 2 Step Verification Important?
2 Step Verification Ke Fayde (advantage) ko Janke Aap Samaj Gaye Hoge Ki 2 Step Verification Kitna Important Hai ! Godaddy Account Me Hamare Favorite Domains, Hosting Hota He Or Aise Important Account Ki Security Ke Liye 2 Step Verification Important Hai. mSo Finally You Know All Information about Godaddy 2 Step Verification